Ghalib Ghazals
1. zikr us pareewash kaa, aur phir bayaaN apnaa
ban gayaa raqeeb aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa
[pareewash=angel/beauty/fairy, raqeeb=enemy, raazdaaN=friend]2. Main wo kyoN bahut peete bazm-e-ghair meN yarab
Aaj hi hua manzoor un ko imtihaaN apna3. manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
'arsh se idhar hotaa kaash ke makaaN apnaa['arsh=heaven]
4. De woh jis qadar zillat hum haNsee meN taleNge
Baarey Aashna nikla unka paasbaN apna
5. dard-e-dil likhooN kab tak? jaaooN unko dikhlaa dooN --
uNgliyaaN figaar apni KHaamaa_KHooN chakaaN apnaa[ figaar=wounded/sore, KHaam=inexpert/green/raw/immature,
KHaama_KHooN=young blood, chakaaN=dripping]6. ghiste ghiste mit jaata aap ne ????? badla
naNg-e-sajdaH se mere sang-e-aastaN apna7. ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko
dost kee shikayat meN hum ne hum-zabaaN apna8. ham kahaaN ke daanaa the? kis hunar meiN yaktaa the?
be_sabab huaa 'GHalib' dushman aasmaaN apnaa[daanaa=wise/learned, yaktaa=unique]