Ghalib Ghazals
1. woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?[ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night,
roz = day, maah = month, saal = year ]2. fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?[ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ]
3. dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ?4. thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?[ tasavvur = imagination, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ]
5. 'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?[ haal = spiritual ecstasy ]
6. hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?[ qamaar_khaana = casino, girah = knot/joint ]
7. fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?[ wabaal = calamity ]
8. muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN ?[ muzmahil = exhausted/idle, quwa'a = limbs, anaasir = elements,
'eitdaal = moderation ]