Ghalib Ghazals
1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]
3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai5. ye paree chehara log kaise haiN ?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance,
ishwa = coquetry ]6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]
7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?[ abr = clouds ]
8. hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai9. "haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai ?[ darvesh = beggar, sada = voice ]
10. jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai11. maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?