Ghalib Ghazals
1. dard minnat_kash-e-dawa na huaa
maiN na achchaa huaa, bura na huaa[ minnat_kash-e-dawa = obliged to medicine ]
2. jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?
ik tamaasha huaa gila na huaa[ raqeeb = opponent, gila = complaint ]
3. ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?
too hee jab KHanjar aazma na huaa4. kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb
gaaliyaaN khaake be_maza na huaa[ sheereeN = sweet ]
5. hai KHabar garm unke aane kee
aaj hee ghar meiN boriya na huaa ![ boriya = mat, here it refers to groceries ]
6. kya woh namrood kee KHudaaee thee
bandagee meiN tera bhala na huaa[ namrood = an old king who used to say that he was god ]
7. jaan dee, dee huee usee ki thee
haq to ye hai ke haq adaa na huaa8. zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama
kaam gar ruk gaya rawa na huaa[ rawa = right/lawful ]
9. rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?
leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa[ dil_sitaaN = lover, rawa = agree/admissible ]
10. kuchch to paDhiye ki log kehte haiN
"aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"